Monday 22 October 2012

My tribute to YashRaj

Kabhi kabhie dil mein yeh savaal uthta hai
Hum ye deewar khadi kar dete hai
Dilon ko milne se, rukwa dete hai
Kyun?
Sach to yeh hai
Faasle kitne bhi ho
Jeet hamesha pyar ki hoti hai
Nahin bujti ishq ki ye mashaal
Daag mit te nahin
Mohobbat kat ti nahin
Fanaa hote hue bhi, pyar mein rang jaate hai

Kabhi kabhie darr bhi lagta hai
Voh pyar ke lamhe chandni me kho jaate hai
Kuch bewafa maane jaate hai
Aur kuch pyar ki qurbaani de behte hai
Lekin...
Yeh silsila chalta reheta hai
Sache dilwale, dulhania le hi jaate hai

Kabhi kabhie dil pagal ho jaata hai
Maya ke pyar mein saari saari raat jagata hai
Apne yaar se pyar ho jaata hai
Dil chot pohochata hai
Lekin...
Rab jo karta hai
Thik hi karta hai
Veer aur Zaara ko milva hi deta hai

Kabhi kabhie pyar aise hi ho jaata hai
Na chahate hue bhi ho jaata hai
Hum aur tum milte hain
Chalte chalte achanak ruk jaate hai
Akele khayalon mein kho jaate hai
Chup ke se gale laga leta hai

Sacha pyar to tab hota hai
Jaan bhi jaae
Lekin...
Pyar zinda reheta hai
Jab tak hai jaan, mein tujh pe kurbaan

Kya yehi pyar hota hai?
Haan, yehi pyar hota hai



5 comments:

Surbhi said...

Kuch bewafa maane jaate hai
Aur kuch pyar ki qurbaani de behte hai
Lekin...
Yeh silsila chalta reheta hai
Sache dilwale, dulhania le hi jaate hai

Wow!

Surbhi said...

Kuch bewafa maane jaate hai
Aur kuch pyar ki qurbaani de behte hai
Lekin...
Yeh silsila chalta reheta hai
Sache dilwale, dulhania le hi jaate hai

Wow!

Surbhi said...

Kuch bewafa maane jaate hai
Aur kuch pyar ki qurbaani de behte hai
Lekin...
Yeh silsila chalta reheta hai
Sache dilwale, dulhania le hi jaate hai

Wow!

pamc40 said...

Aww it's beautiful!!

Anonymous said...

ve been looking everywhere for this! Thank goodness I found it on Bing. You have made my day! Thx again